āvāza-e-ḳhayāl  kahīñ  gūñjtā  huā
aur  us  pe  saarā  sahn-e-suḳhan  jāgtā  huā
dast-e-duā  buland  huā  thā  yahīñ  kahīñ
apne  liye  ḳhudā  se  tujhe  māñgtā  huā
āḳhir  meñ  thak  ke  baiTh  gayā  ḳhushk  ghaas  par
phūloñ  ke  darmiyān  tujhe  DhūñDhtā  huā
hairat  hamārī  aañkh  ko  lalkārtī  huī
manzar  darūn-e-ḳhvāb  koī  dauḌtā  huā
logoñ  ke  saath  saf  meñ  khaḌā  ho  gayā  'vasīm'
farz-e-kifāya  meñ  bhī  ise  jāntā  huā