bhūke  jismoñ  kī  ḳhvāhishoñ  ke  liye
ham  mile  the  zarūratoñ  ke  liye
jhāñk  lenā  burā  nahīñ  hotā
achchhā  hotā  hai  khiḌkiyoñ  ke  liye
chaar  hissoñ  meñ  baT  ke  rah  jaanā
kitnā  mushkil  hai  āñganoñ  ke  liye
merī  har  nazm  laḌkiyoñ  pe  nisār
merā  har  sher  auratoñ  ke  liye
bhiig  jaanā  mujhe  bhī  aatā  hai
ek  elaan  bārishoñ  ke  liye
dhobiyoñ  ke  liye  bahut  ādāb
tāliyāñ  us  ke  darziyoñ  ke  liye
un  dukānoñ  meñ  dastiyāb  kahāñ
lipstick  aap  ke  laboñ  ke  liye
vo  mujhe  is  tarah  zarūrī  hai
ghanTiyāñ  jaise  mandiroñ  ke  liye
us  kā  chehra  ġhazal  kī  achchhī  kitāb
us  kī  āñkheñ  samundaroñ  ke  liye