nahīñ  ki  ḳhvāb-e-pareshān  kī  tasallī  huī
dar-o-duvār  se  insān  kī  tasallī  huī
tamām  naam  hī  nāmoñ  se  milte-julte  the
tumhāre  naam  se  mujh  kaan  kī  tasallī  huī
agarche  kamroñ  meñ  a-c  lage  hue  the  vahāñ
magar  jo  peḌ  se  mehmān  kī  tasallī  huī
ye  kab  se  mez  pe  ḳhālī  dharā  huā  thā  'vasīm'
phir  ek  phuul  se  gul-dān  kī  tasallī  huī