koī  subūt  na  hogā  tumhāre  hone  kā
na  aayā  fan  jo  qalam  ḳhuun  meñ  Dubone  kā
har  ek  baat  pe  bas  qahqahe  baraste  haiñ
ye  tarz  kitnā  nirālā  hai  dil  ke  rone  kā
shurū  tum  ne  kiyā  thā  tumheñ  bhugatnā  hai
jo  silsila  thā  ġhalat-fahmiyoñ  ko  bone  kā
shanāḳht  ho  to  ga.ī  apne  aur  parā.e  kī
nahīñ  hai  ġham  mujhe  umr-e-azīz  khone  kā
'ra.īs'  fikr-e-suḳhan  raat  bhar  jagātī  hai
koī  bhī  vaqt  muqarrar  nahīñ  hai  sone  kā