havā  namnāk  hotī  jā  rahī  hai
havelī  ḳhaak  hotī  jā  rahī  hai
darīcha  kholte  hī  tham  ga.ī  hai
havā  chālāk  hotī  jā  rahī  hai
hamāre  hausloñ  ke  aage  mushkil
ḳhas  o  ḳhāshāk  hotī  jā  rahī  hai
lahū  ke  haath  dho.e  jā  rahe  haiñ
nadī  nāpāk  hotī  jā  rahī  hai
na.ī  tahzīb  se  ye  nasl-e-nau  ab
bahut  bebāk  hotī  jā  rahī  hai
samundar  thaam  le  maujoñ  ko  apnī
zamīñ  tairāk  hotī  jā  rahī  hai
mohabbat  nafratoñ  ke  biich  pal  kar
baḌī  saffāk  hotī  jā  rahī  hai
ba-faiz-e-shā.irī  shahr-e-hunar  meñ
hamārī  dhaak  hotī  jā  rahī  hai