band  hai  aaj  bhī  tarsīl  pe  rāh-e-alfāz
maiñ  ki  mazmūn  huuñ  phir  bhī  huuñ  tabāh-e-alfāz
aaj  aurāq-navardī  hai  muqaddar  lekin
kal  mo.arriḳh  mujhe  Tahrā.egā  shāh-e-alfāz
kaash  mafhūm-gazīda  koī  patthar  hī  mile
sañg-zāroñ  meñ  bhaTaktī  hai  nigāh-e-alfāz
log  samjheñge  na  jāneñge  mirī  baat  magar
mere  sar  aa.egā  phir  bhī  ye  gunāh-e-alfāz
huuñ  vo  mafhūm  jo  sharminda-e-tahrīr  nahīñ
hai  panāhoñ  meñ  mirī  ḳhud  hī  panāh-e-alfāz
bar-sar-e-jañg  huuñ  tarsīl  ke  maidāñ  meñ  'ra.īs'
qaid-e-ib.hām  meñ  hai  phir  bhī  sabāh-e-alfāz