varaq  varaq  tujhe  tahrīr  kartā  rahtā  huuñ
maiñ  zindagī  tirī  tash.hīr  kartā  rahtā  huuñ
bahut  aziiz  hai  mujh  ko  masāfatoñ  kī  thakan
safar  ko  paañv  kī  zanjīr  kartā  rahtā  huuñ
musavviroñ  ko  hai  zom-e-musavvirī  lekin
maiñ  apnī  ziist  ko  tasvīr  kartā  rahtā  huuñ
maiñ  sauñp  detā  huuñ  har  raat  apne  ḳhvāboñ  ko
har  ek  sub.h  ko  tābīr  kartā  rahtā  huuñ
sipar  banātā  huuñ  lafzoñ  ko  sher  meñ  lekin
qalam  ko  apne  maiñ  shamshīr  kartā  rahtā  huuñ
hazār  aib  ḳhud  apne  hī  naam  meñ  likh  kar
maiñ  terī  raa.e  hama-gīr  kartā  rahtā  huuñ
vo  merī  fikr  meñ  badle  kā  zahr  gholtā  hai
magar  maiñ  zahr  ko  iksīr  kartā  rahtā  huuñ
maiñ  shahr  shahr  bhaTaktā  huuñ  aur  rozāna
ḳhud  apnī  zaat  kī  tāmīr  kartā  rahtā  huuñ
likhe  haiñ  hisse  meñ  mere  'ra.īs'  sannāTe
navā-e-vaqt  kī  tasḳhīr  kartā  rahtā  huuñ