safar  ye  merā  ajab  imtihān  chāhtā  hai
balā  ke  habs  meñ  bhī  bādbān  chāhtā  hai
vo  merā  dil  nahīñ  merī  zabān  chāhtā  hai
mirā  udū  hai  mujhī  se  amaan  chāhtā  hai
hazār  us  ko  vahī  rāste  bulāte  haiñ
qadam  qadam  vo  nayā  āsmān  chāhtā  hai
ajiib  baat  hai  mujh  se  mirā  hī  ā.īna
mirī  shanāḳht  kā  koī  nishān  chāhtā  hai
maiñ  ḳhush  huuñ  aaj  ki  merī  anā  kā  sūraj  bhī
mire  hī  jism  kā  ab  sā.ebān  chāhtā  hai
maiñ  us  kī  baat  kī  tardīd  kar  to  duuñ  lekin
magar  vo  shaḳhs  to  mujh  se  zabān  chāhtā  hai