tamām  shahr  meñ  hai  aam  kārobār-e-havas
ki  chehre  chehre  pe  chaspāñ  hai  ishtihār-e-havas
abhī  ragoñ  meñ  hai  talḳhī-e-e'tibār-e-havas
badan  meñ  TuuT  rahā  hai  abhī  ḳhumār-e-havas
jo  chal  paḌe  ho  to  anjām-e-gumrahī  se  Daro
supurd-e-ḳhāk  na  kar  de  ye  rahguzār-e-havas
havā  hai  garm  na  kamre  kī  khiḌkiyāñ  kholo
na  jaane  shahr  meñ  Thahre  kahāñ  ġhubār-e-havas
farār  ḳhvāhish-e-hastī  se  jab  nahīñ  mumkin
nafas  kī  qaid  kaheñ  yā  ise  hisār-e-havas