Imdad Ali Bahr

dil se samjhunga ise dushman-e-jaan hone do

Imdad Ali Bahr

1810-1878
dil se samjhūñgā ise dushman-e-jāñ hone do
zahr gholūñgā davā meñ ḳhafaqāñ hone do
aañkh bhauñ us ke ishāroñ pe ravāñ hone do
mil ke abrū-o-mizha tīr-o-kamāñ hone do
mere dil ko hadaf-e-tīr-e-nigah karte haiñ
aur mujh se bhī ishāra hai ki haañ hone do
aag bhaḌkī huī hai mujh ko na samjhā.e koī
jaan kā maal kā hotā hai ziyāñ hone do
har tarah ham dil-e-nā-fahm ko samjhā leñge
daaġh maujūd haiñ pahlū ko ḳhizāñ hone do
ism-e-āzam kā asar ġhair ko dikhlā deñge
yaar kā naam zarā vird-e-zabāñ hone do
āñkheñ phūTeñ bhī kahīñ is falak-e-bad-bīñ kī
zabt achchhā nahīñ aahoñ kā dhuāñ hone do
parda Daalo mirī āñkhoñ pe na ai sharm-o-hijāb
yaar be-parda hai mujh ko nigarāñ hone do
raat baaqī hai abhī kis liye ghabrā ke uThe
top chhuTne do mirī jaan azaañ hone do
lucknow meñ tumheñ dikhlā.eñge chaukā bahte
chaar aañsū mirī āñkhoñ se ravāñ hone do
dekhūñ kyuuñ kar nahīñ hotā falak-e-kaj sīdhā
dil-e-mahzūñ kī buland āh-o-fuġhāñ hone do
ahl-e-duniyā meñ mo.assir hai har ek shai kā rivāj
mast ho jā.eñge sab daur-e-muġhāñ hone do
naujavānī kā mazā koī ḳharābāt meñ hai
mardum-e-pīr ko mushtāq-e-jināñ hone do
āzmā.ish ke nazar hī jo hamāre jānib
paar siine se nigāhoñ kī sināñ hone do
'bahr' ne ab to kamar bāñdhī hī bad-vaza.ī par
ab na roko ise rusvā-e-jahāñ hone do
Top Urdushayar.com