Imdad Ali Bahr

mahbub-e-KHuda ne tujhe nayab banaya

Imdad Ali Bahr

1810-1878
mahbūb-e-ḳhudā ne tujhe nāyāb banāyā
qad sarv kiyā ruḳh gul-e-mahtāb banāyā
jab kuchh na banī ishq ne betāb banāyā
ḳhud ban gayā sho.ala mujhe sīmāb banāyā
us husn ke dariyā ne jo phir kar mujhe dekhā
mauj-e-qadam-e-nāz ko girdāb banāyā
sarmast-e-shahādat haiñ tire ishq meñ saaqī
āb-e-dam-e-ḳhanjar ko mai-e-nāb banāyā
āgāh kiyā ishq ne qānūn-e-vafā se
jab nāḳhun-e-shamshīr ko mizrāb banāyā
sab uzv-e-badan sham-e-sifat bah ga.e gal kar
is sozish-e-dil ne mujhe sailāb banāyā
ik raat uḌaa.ī na mirī duḳhtar-e-raz se
saaqī ne bat-e-mai ko bhī surḳhāb banāyā
jism aisā damaktā hai ki kapḌe chamak uTThe
naino ko tire husn ne kamḳhāb banāyā
kab tālib-e-rāhat hue zaḳhmī-e-mohabbat
marham kī jo hājat huī tezāb banāyā
aariz ne kiyā sar-ba-zamīñ saare guloñ ko
qāmat ne har ik shāḳh ko mehrāb baniyā
ai 'bahr' bar-o-bahar meñ gardish rahe ham ko
qismat ne bagūlā tujhe girdāb banāyā
Top Urdushayar.com