shikāyat  kar  rahe  haiñ  sajda-hā-e-rā.egāñ  mujh  se
na  dekhā  jā.egā  ab  sū-e-sañg-e-āstāñ  mujh  se
hai  kal  kī  baat  sharminda  thā  husn-e-rā.egāñ  mujh  se
ye  jalve  māñgte  the  ik  nigāh-e-mehrbāñ  mujh  se
nazar  rakh  kar  qanā.at  kar  rahā  huuñ  maiñ  tasavvur  par
ye  jalve  chāhte  haiñ  aur  kyā  qurbāniyāñ  mujh  se
mohabbat  merī  baḌh  kar  aa  ga.ī  hai  bad-gumānī  tak!
mazā  aa  jaa.e  ho  jaa.eñ  jo  vo  bhī  bad-gumāñ  mujh  se
mashiyyat  chāhtī  thī  mujh  ko  mahv-e-ḳhvāb  meñ  rakhnā
maiñ  kyā  kartā  na  rokī  jā  sakīñ  añgḌā.iyāñ  mujh  se
karishme  qudrat-e-mutlaq  ke  haiñ  bālā-e-shak  lekin
maiñ  jab  jānūñ  ki  baḌh  kar  chhīn  leñ  majbūriyāñ  mujh  se
junūñ-jaulān-e-dasht-e-justujū  huuñ  kyā  ḳhabar  is  kī
milī  manzil  kahāñ  mujh  ko  chhuTī  manzil  kahāñ  mujh  se