nipTeñge  dil  se  ma.arka-e-rah-guzar  ke  ba.ad
leñge  safar  kā  jā.eza  ḳhatm-e-safar  ke  ba.ad
uThne  ko  in  kī  bazm  meñ  sab  kī  nazar  uThī
itnā  magar  kahūñgā  ki  merī  nazar  ke  ba.ad
sab  zor  ho  rahā  hai  mirī  sar-kashī  pe  sarf
kyā  hogā  hāl-e-dār-o-rasan  mere  sar  ke  ba.ad
kū-e-sitam  se  guzreñ  to  shorīdgān-e-ishq
hañsne  lageñge  zaḳhm-e-jigar  zaḳhm-e-sar  ke  ba.ad
barq-e-sitam  ko  nazr  karūñ  bhī  to  kyā  karūñ
ab  kyā  rahā  hai  aag  lagāne  ko  ghar  ke  ba.ad
be-ḳhvāb  kar  rahe  haiñ  shab-e-ġham  ke  marhale
āñkheñ  jhapak  na  jaa.eñ  tulū-e-sahar  ke  ba.ad
hogā  tavīl  aur  bhī  afsāna-e-vafā
ahl-e-jafā  ke  tantana-e-muḳhtasar  ke  ba.ad