mauqa.a-e-yās  kabhī  terī  nazar  ne  na  diyā
shart  jiine  kī  lagā  dī  mujhe  marne  na  diyā
kam  se  kam  maiñ  ġham-e-duniyā  ko  bhulā  saktā  thā
par  tirī  yaad  ne  ye  kaam  bhī  karne  na  diyā
terī  ġham-ḳhvār  nigāhoñ  ke  tasadduq  ki  mujhe
ġham-e-hastī  kī  bulandī  se  utarne  na  diyā
vo  tirī  surḳhī-e-āriz  ki  qarīb  aa  na  sakī
rañg  jis  fikr  ko  bhī  ḳhūn-e-jigar  ne  na  diyā
husn-e-ham-dard  tirā  ham-safar-e-shauq  rahā
mujh  ko  tanhā  kisī  manzil  se  guzarne  na  diyā
kitnī  ḳhush-zauq  hai  terī  nigah-e-bāda-farosh
ḳhālī  rahne  na  diyā  jaam  ko  bharne  na  diyā