jalte  rahnā  kaam  hai  dil  kā  bujh  jaane  se  hāsil  kyā
apnī  aag  ke  īñdhan  haiñ  ham  īñdhan  kā  mustaqbil  kyā
bolo  nuqūsh-e-pā  kuchh  bolo  tum  to  shāyad  sunte  ho
bhaag  rahī  hai  rāhguzar  ke  kaan  meñ  kah  kar  manzil  kyā
Dūbne  vālo!  dekh  rahe  ho  tum  to  kashtī  ke  taḳhte
dekho  dekho  ġhaur  se  dekho  dauḌ  rahā  hai  sāhil  kyā
an-paḌh  āñdhī  ghus  paḌtī  hai  toḌ  ke  phāTak  mahloñ  ke
''andar  aanā  man.a  hai''  likh  kar  laTkāne  se  hāsil  kyā
qatl-e-vaqār-e-ishq  kā  mujrim  jahl-e-havas-kārāñ  hī  nahīñ
nañge  is  hammām  meñ  sab  haiñ  aalim  kyā  aur  jāhil  kyā
parvāne  ab  apnī  apnī  aag  meñ  jalte  rahte  haiñ
sho.aloñ  ke  baTvāre  se  thā  maqsad-e-sham-e-mahfil  kyā
TuuTī  dhanak  ke  TukḌe  le  kar  bādal  rote  phirte  haiñ
khīñchā-tānī  meñ  rañgoñ  kī  sūraj  bhī  hai  shāmil  kyā