ai  be-dilo  harīf-e-shab-e-tār  kyuuñ  hue
kachchī  agar  thī  niiñd  to  bedār  kyuuñ  hue
sahrā  ko  aaj  kostī  phirtī  haiñ  āñdhiyāñ
dīvāne  gulistāñ  ke  taraf-dār  kyuuñ  hue
sust-e.atibāriyoñ  ko  nahīñ  tāb-e-intizār
va.ade  sahar  ke  sarf-e-shab-e-tār  kyuuñ  hue
sharmā  gayā  chaman  meñ  tabassum  bahār  kā
ham  gul-farosh  zaḳhm-e-dil-e-zār  kyuuñ  hue
kyā  gulsitāñ  meñ  thī  safar-āmāda  bū-e-gul
jhoñke  havā  ke  qāfila-sālār  kyuuñ  hue
ai  zindagī  naqāb  ulaT  kar  javāb  de
fan  ham  se  pūchhtā  hai  ki  fankār  kyuuñ  hue