fasurda  hai  ilm  harf-hā-e-kitāb  bhī  bujh  ke  rah  ga.e  haiñ
hai  raakh  hī  raakh  madrasoñ  meñ  nisāb  bhī  bujh  ke  rah  ga.e  haiñ
diloñ  meñ  sho.ale  sisak  rahe  haiñ  jamī  huī  barf  hai  laboñ  par
savāl  bhī  bujh  ke  rah  ga.e  haiñ  javāb  bhī  bujh  ke  rah  ga.e  haiñ
nahīñ  hai  mahfil  meñ  koī  garmī  hue  haiñ  dil  sard  mutriboñ  ke
dhuāñ  nikaltā  hai  uñgliyoñ  se  raubāb  bhī  bujh  ke  rah  ga.e  haiñ
charāġh-e-sāġhar  se  lau  lagā  kar  na  paayā  kuchh  bhī  fasurdagī  ne
ki  ġham  to  ye  hai  ki  sho.ala-hā-e-sharāb  bhī  bujh  ke  rah  ga.e  haiñ
giraft-e-tūfāñ  meñ  aa  gayā  hai  ḳhayāl  kā  sho.ala-posh  dāman
rahe  haqīqat  hī  jin  se  raushan  vo  ḳhvāb  bhī  bujh  ke  rah  ga.e  haiñ
bujhā  bujhā  sā  hai  qalb-e-sahrā  bujhī  bujhī  sī  hai  reg-e-tābāñ
fareb  khā.egī  tishnagī  kyā  sarāb  bhī  bujh  ke  rah  ga.e  haiñ
hai  munfa.il  zauq-e-sho.ala-chīnī  araq  araq  hai  jabīn-e-ḳhirman
kahāñ  se  ā.eñge  barq-pāre  sahāb  bhī  bujh  ke  rah  ga.e  haiñ