manzil  bhī  milegī  raste  meñ  tum  rāhguzar  kī  baat  karo
āġhāz-e-safar  se  pahle  kyuuñ  anjām-e-safar  kī  baat  karo
zālim  ne  liyā  hai  sharmā  kar  phir  gosha-e-dāmāñ  chuTkī  meñ
hai  vaqt  ki  tum  bebākī  se  ab  dīda-e-tar  kī  baat  karo
aayā  hai  chaman  meñ  mausam-e-gul  aa.ī  haiñ  havā.eñ  zindāñ  tak
dīvār  kī  bāteñ  ho  leñgī  is  vaqt  to  dar  kī  baat  karo
hai  tez  havā  hiltā  hai  qafas  ḳhatre  meñ  paḌī  hai  har  tiilī
fariyād-e-asīrī  band  karo  ab  jumbish-e-par  kī  baat  karo
kyuuñ  dār-o-rasan  ke  saa.e  meñ  mansūr  kī  bāteñ  karte  ho
rakhnā  hai  jo  ūñchā  sar  apnā  to  apne  hī  sar  kī  baat  karo
kyuuñ  ahl-e-junūñ  arbāb-e-ḳhirad  kī  mahfil  meñ  ḳhāmosh  raheñ
vo  apne  hunar  kī  baat  kareñ  tum  apne  hunar  kī  baat  karo
kyā  barbat-o-daf  dam  toḌ  chuke  maut  aa  ga.ī  kyā  har  naġhme  ko
tum  mutrib-e-jām-o-mīnā  ho  kyuuñ  teġh  o  sipar  kī  baat  karo