sunā  hai  un  ke  lab  par  kal  thā  zikr-e-muḳhtasar  merā
tasavvur  de  rahā  hai  tuul  isī  ko  kis  qadar  merā
ye  dil-sozī-e-dard-e-ādamiyyat  kyā  qayāmat  hai
kisī  kī  aañkh  se  aañsū  baheñ  dāman  ho  tar  merā
tasavvur  mai-kade  kā  mushtarak  ho  kis  tarah  nāseh?
ḳhirad  sāġhar-shikan  terī  junūñ  paimāna-gar  merā
yahī  aalam  rahā  gar  shauq  kī  ā.īna-bañdī  kaa!
to  gum  ho  jā.egā  jalvoñ  meñ  shauq-e-ḳhud-nigar  merā
ḳhudā-rā  kuchh  to  nāz-e-sar-bulandī  rahm  kar  mujh  par
tire  bār-e-girāñ  se  ab  jhukā  jaatā  hai  sar  merā
ulajh  kar  rah  ga.ī  thī  aql  to  parde  ke  tāroñ  meñ
baḌī  mushkil  se  kaam  aayā  junūn-e-parda-dar  merā
nahīñ  'parvez'  kuchh  apne  hī  ashkoñ  kī  namī  is  meñ
banā  hai  āstīn-e-dostāñ  dāmān-e-tar  merā