zindagī  ne  fasl-e-gul  ko  bhī  pashemāñ  kar  diyā
jis  bayābāñ  par  nazar  Daalī  gulistāñ  kar  diyā
tū  ne  ye  kyā  ai  sukūt-e-shikva-sāmāñ  kar  diyā
dil  kī  dil  hī  meñ  rahī  un  ko  pashemāñ  kar  diyā
shukriya  ai  mausam-e-gul  pās-e-vahshat  hai  yahī
gulsitāñ  ko  tū  ne  ham-dīvār-e-zindāñ  kar  diyā
kitne  afsāne  banā  kar  rakh  liye  the  shauq  ne
yuuñ  naqāb  ulTī  haqīqat  ne  ki  hairāñ  kar  diyā
kis  qadar  mazbūt  nikle  tere  dīvāne  ke  haath
shām-e-ġham  ko  jab  nichoḌā  sub.h-e-tābāñ  kar  diyā
phuul  barsā.e  haiñ  kyā  kyā  teġh-e-ḳhūñ-āshām  ne
tum  ne  shahar-e-gul-azārāñ  ko  gulistāñ  kar  diyā
sīna-e-san.at  meñ  bhar  kar  apne  dil  kā  iztirāb
āhan-o-faulād  ko  maiñ  ne  ġhazal-ḳhvāñ  kar  diyā