Imdad Ali Bahr

mahram ke sitare TuTte hain

Imdad Ali Bahr

1810-1878
mahram ke sitāre TūTte haiñ
pistān ke anaar chhūTte haiñ
dil par hai vo sadma-e-judā.ī
ghaḌiyāl bhī siina kūTte haiñ
koī to matā-e-dil ko pūchhe
ābād raheñ jā lūTte haiñ
āñkhoñ ko bahā.egā ye ronā
dariyā meñ charāġh chhūTte haiñ
tai kis se ho vādī-e-mohabbat
chalte hue paañv TūTte haiñ
kis ke gāloñ se hamsarī kiye
sone ke varaq ko kūTte haiñ
ye dil use muft bhī hai mahñgā
ham ḳhush haiñ kī saste chhūTte haiñ
rindoñ ne diyā jo saana apnā
saaqī kī dukān lūTte haiñ
kiyā shikoh-e-sañg ko dukān-e-'bahr'
ham par to pahāḌ TūTte haiñ
Top Urdushayar.com