sāġhar-e-sifālīñ  ko  jām-e-jam  banāyā  hai
phail  kar  mire  dil  ne  ''maiñ''  ko  ''ham''  banāyā  hai
ham-safar  banāyā  hai  ham-qadam  banāyā  hai
vaqt  ne  mujhe  kitnā  mohtaram  banāyā  hai
naaz  hai  ḳhalīlī  ko  husn-e-naqsh-e-sānī  par
garche  āzarī  hī  ne  ye  sanam  banāyā  hai
be-kasī-e-dil  apnī  duur  kī  hai  yuuñ  maiñ  ne
dūsroñ  ke  ġham  ko  bhī  apnā  ġham  banāyā  hai
zindagī  kī  mausīqī  kyā  hai  ham  samajhte  haiñ
saaz  ke  talavvun  ko  zer-o-bam  banāyā  hai
zulf  kī  tarah  is  ko  bas  sañvārte  rahiye
zindagī  ko  fitrat  ne  ḳham-ba-ḳham  banāyā  hai
maiñ  ne  zarre  zarre  ko  muskurāhaTeñ  dī  haiñ
tum  ne  har  sitāre  ko  chashm-e-nam  banāyā  hai
mudda.ī-e-jiddat  hai  terī  fikr  ai  zāhid!
mai-kade  kī  īñToñ  se  kyuuñ  iram  banāyā  hai
but  hazāroñ  toḌe  haiñ  kitne  TukḌe  joḌe  haiñ
zindagī  ne  jab  jā  kar  ik  sanam  banāyā  hai