chhup  kar  na  rah  sake  nigah-e-ahl-e-fan  se  ham
mahfil  meñ  jhāñkte  haiñ  naqāb-e-suḳhan  se  ham
kam-baḳht  DhūñDhtī  hai  mohabbat  meñ  falsafa
tañg  aa  ga.e  haiñ  aql  ke  dīvāna-pan  se  ham
talḳhī-e-zindagī  meñ  bhī  paane  lage  miThās
aajiz  haiñ  apnī  fitrat-e-kām-o-dahan  se  ham
paidā  kiyā  huā  hai  hamārā  hī  sab  faroġh
begāna  kuchh  nahīñ  haiñ  tirī  anjuman  se  ham
ai  mahv-e-nāz  aur  nayā  koī  imtihāñ
uktā  ga.e  haiñ  bāzī-e-dār-o-rasan  se  ham
ik  zarra  hī  sahī  magar  ai  āftāb-e-nāz
sajde  karā  rahe  haiñ  tirī  har  kiran  se  ham
dete  rahe  fareb-e-manāzir  ke  but-kade
dekhā  kiye  tujhe  nigah-e-but-shikan  se  ham
uThnā  hamārā  thā  ki  sabhoñ  kī  nazar  uThī
kuchh  jaise  le  chalūñ  huuñ  tirī  anjuman  se  ham
ubhrā  nahīñ  hai  sādgī-e-girya  kā  mazāq
mahfil  ye  chāhtī  hai  ki  ro.eñ  bhī  fan  se  ham