tum  ḳhunuk  jazba  ho  be-tābī-e-fan  kyā  jāno?
kyā  guzartī  hai  dam-e-fikr-e-suḳhan  kyā  jāno?
ḳhuun  hai  dil  meñ  tumhāre  abhī  afsurda-ḳhirām
surḳh  kyuuñ  hote  haiñ  ruḳhsār-e-chaman  kyā  jāno?
maiñ  huuñ  kitne  qad-o-gesū  ke  jahāñ  kā  me.amār
sargirāñ  mujh  se  haiñ  kyuuñ  dār-o-rasan  kyā  jāno?
tum  to  karte  ho  mirī  klik-e-suḳhan  ko  pāband
kaun  hai  kātib-e-taqdīr-e-vatan  kyā  jāno?
maiñ  ki  huuñ  ḳhāk-nashīñ  dushman-e-jām-e-ḳhusrav
maiñ  hī  piitā  huuñ  mai-e-taḳht-fagan  kyā  jāno?
tum  ko  hai  naaz  ki  jakḌe  hue  ho  vaqt  ke  paañv
kyuuñ  badaltā  hai  zamāne  kā  chalan  kyā  jāno?
tum  samajhte  hī  nahīñ  ahl-e-gulistāñ  kī  zabāñ
mujh  se  kyā  kahte  haiñ  ye  sarv-o-saman  kyā  jāno?
tum  to  ho  bā.is-e-afsurdagī-e-hāl-e-hunar
maiñ  huuñ  tābānī-e-mustaqbil-e-fan  kyā  jāno?
jin  ko  tum  dete  ho  shorīda-sarī  kā  ilzām
haiñ  vahī  ḳhāk-basar  tāj-shikan  kyā  jāno?