sub.h-e-nau  ham  to  tire  saath  numāyāñ  hoñge
aur  hoñge  jo  halāk-e-shab-e-hijrāñ  hoñge
sadma-e-zīst  ke  shikve  na  kar  ai  jān-e-'ra.īs'
ba-ḳhudā  ye  na  tire  dard  kā  darmāñ  hoñge
merī  vahshat  meñ  abhī  aur  taraqqī  hogī
tere  gesū  to  abhī  aur  pareshāñ  hoñge
āzmā.egā  bahar-hāl  hameñ  jabr-e-hayāt
ham  abhī  aur  asīr-e-ġham-e-daurāñ  hoñge
āshiqī  aur  marāhil  se  abhī  guzregī
imtihāñ  aur  mohabbat  ke  mirī  jaañ  hoñge
qalb-e-pākīza-nihād  o  dil-e-sāfī  de  kar
ā.īna  ham  ko  banāyā  hai  to  hairāñ  hoñge
sadqa-e-tīrgī-e-shab  se  gila-sañj  na  ho
ki  na.e  chāñd  isī  shab  se  firozāñ  hoñge
aaj  hai  jabr-o-tashaddud  kī  hukūmat  ham  par
kal  hamīñ  beḳh-kun-e-qaisar-o-ḳhāqāñ  hoñge
vo  ki  auhām  o  ḳhurāfāt  ke  haiñ  said-e-zabūñ
āḳhir  is  dām-e-ġhulāmī  se  gurezāñ  hoñge
sirf  tārīḳh  kī  raftār  badal  jā.egī
na.ī  tārīḳh  ke  vāris  yahī  insāñ  hoñge