batā  kyā  kyā  tujhe  ai  shauq-e-hairāñ  yaad  aatā  hai
vo  jān-e-ārzū  vo  rāhat-e-jāñ  yaad  aatā  hai
pareshāñ-ḳhātirī  had  se  guzartī  hai  to  vahshat  ko
kisī  kā  ālam-e-zulf-e-pareshāñ  yaad  aatā  hai
guzartā  hai  kabhī  jab  chaudhvīñ  kā  chāñd  badlī  se
mahīn  āñchal  meñ  un  kā  rū-e-tābāñ  yaad  aatā  hai
añdherī  raat  meñ  jugnū  chamakte  haiñ  to  rah  rah  kar
dupaTTe  ke  sitāroñ  kā  charāġhāñ  yaad  aatā  hai
ufuq  par  phailtī  haiñ  surḳhiyāñ  jab  sub.h-e-tāza  kī
koī  siina  pas-e-chāk-e-garebāñ  yaad  aatā  hai
kalī  ko  phuul  bante  dekh  kar  ahd-e-bahārāñ  meñ
koī  chehra  bahut  nau-ḳhez-o-ḳhandāñ  yaad  aatā  hai
ġhazal  jab  chheḌ  detā  hai  koī  ahd-e-javānī  kī
kisī  kā  jism-e-mauzūn-o-ġhazal-ḳhvāñ  yaad  aatā  hai
vo  tūfāñ  karvaTeñ  letā  thā  jo  ik  jism-e-rā.anā  meñ
vo  tūfāñ  ham-kinārī  kā  vo  tūfāñ  yaad  aatā  hai
vo  armāñ  jo  kisī  ke  shoḳh  hoñToñ  par  machaltā  thā
vo  armāñ  bosa-e-lab  kā  vo  armāñ  yaad  aatā  hai
vufūr-e-shauq  se  ḳhud  haath  apne  chuum  letā  huuñ
vufūr-e-shauq  meñ  jab  un  kā  dāmāñ  yaad  aatā  hai
bahut  kuchh  yaad  aatā  hai  'ra.īs'  un  kī  judā.ī  meñ
magar  jaise  koī  ḳhvāb-e-pareshāñ  yaad  aatā  hai