Rais Amrohvi

KHamosh zindagi jo basar kar rahe hain hum

Rais Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1914-1988
ḳhāmosh zindagī jo basar kar rahe haiñ ham
gahre samundaroñ meñ safar kar rahe haiñ ham
sadiyoñ tak ehtimām-e-shab-e-hijr meñ rahe
sadiyoñ se intizār-e-sahar kar rahe haiñ ham
zarre ke zaḳhm dil pe tavajjoh kiye baġhair
darmān-e-dard-e-shams-o-qamar kar rahe haiñ ham
har chand nāz-e-husn pe ġhālib na aa sake
kuchh aur mārke haiñ jo sar kar rahe haiñ ham
sub.h-e-azal se shām-e-abad tak hai ek din
ye din taḌap taḌap ke basar kar rahe haiñ ham
koī pukārtā hai har ik hādse ke saath
taḳhlīq-e-kā.enāt-e-digar kar rahe haiñ ham
ai arsa-e-talab ke subuk-sair qāflo
Thahro ki nazm-e-rāh-e-guzar kar rahe haiñ ham
likh likh ke ashk o ḳhuuñ se hikāyāt-e-zindagī
ārā.ish-e-kitāb-e-bashar kar rahe haiñ ham
taḳhmīna-e-havādis-e-tūfāñ ke saath saath
batn-e-sadaf meñ vazn-e-gohar kar rahe haiñ ham
ham apnī zindagī to basar kar chuke 'ra.īs'
ye kis kī ziist hai jo basar kar rahe haiñ ham
Top Urdushayar.com