ḳhāmosh  zindagī  jo  basar  kar  rahe  haiñ  ham
gahre  samundaroñ  meñ  safar  kar  rahe  haiñ  ham
sadiyoñ  tak  ehtimām-e-shab-e-hijr  meñ  rahe
sadiyoñ  se  intizār-e-sahar  kar  rahe  haiñ  ham
zarre  ke  zaḳhm  dil  pe  tavajjoh  kiye  baġhair
darmān-e-dard-e-shams-o-qamar  kar  rahe  haiñ  ham
har  chand  nāz-e-husn  pe  ġhālib  na  aa  sake
kuchh  aur  mārke  haiñ  jo  sar  kar  rahe  haiñ  ham
sub.h-e-azal  se  shām-e-abad  tak  hai  ek  din
ye  din  taḌap  taḌap  ke  basar  kar  rahe  haiñ  ham
koī  pukārtā  hai  har  ik  hādse  ke  saath
taḳhlīq-e-kā.enāt-e-digar  kar  rahe  haiñ  ham
ai  arsa-e-talab  ke  subuk-sair  qāflo
Thahro  ki  nazm-e-rāh-e-guzar  kar  rahe  haiñ  ham
likh  likh  ke  ashk  o  ḳhuuñ  se  hikāyāt-e-zindagī
ārā.ish-e-kitāb-e-bashar  kar  rahe  haiñ  ham
taḳhmīna-e-havādis-e-tūfāñ  ke  saath  saath
batn-e-sadaf  meñ  vazn-e-gohar  kar  rahe  haiñ  ham
ham  apnī  zindagī  to  basar  kar  chuke  'ra.īs'
ye  kis  kī  ziist  hai  jo  basar  kar  rahe  haiñ  ham