raqsāñ  hai  muñDer  par  kabūtar
dīvār  sī  gir  rahī  hai  dil  par
Tahnī  pe  ḳhamosh  ik  parinda
maazī  ke  ulaT  rahā  hai  daftar
uḌte  haiñ  havā  kī  samt  zarre
yādoñ  ke  chale  haiñ  lāv-lashkar
peḌoñ  ke  ghane  muhīb  saa.e
ye  kaun  hai  mujh  pe  hamla-āvar
pattoñ  meñ  jhapak  rahī  haiñ  āñkheñ
shāḳhoñ  meñ  chamak  rahe  haiñ  ḳhanjar
ye  kaun  qarīb  aa  rahā  hai
ḳhud  mere  hī  naqsh-e-pā  pe  chal  kar
ye  kaun  samā  rahā  hai  mujh  meñ
baiThā  huā  chup  mirī  barābar
ye  kis  kā  tanaffus-e-pur-asrār
ye  kis  kā  tabassum  fusūñ-gar
ik  karb  sā  ruuh  par  hai  taarī
ik  kaif  sā  chhā  rahā  hai  dil  par