jahāñ  ma.abūd  Thahrāyā  gayā  huuñ
vahīñ  suulī  pe  laTkāyā  gayā  huuñ
sunā  har  baar  merā  kalma-e-sidq
magar  har  baar  jhuThlāyā  gayā  huuñ
kabhī  maazī  kā  jaise  tazkira  ho
zabāñ  par  is  tarah  laayā  gayā  huuñ
abhī  tadfīn  baaqī  hai  abhī  to
lahū  se  apne  nahlāyā  gayā  huuñ
davāmī  azmatoñ  ke  maqbare  meñ
hazāroñ  baar  dafnāyā  gayā  huuñ
taras  kaisā  ki  is  dār-ul-balā  meñ
azal  ke  din  se  tarsāyā  gayā  huuñ
na  jaane  kaun  se  sāñche  meñ  Dhāleñ
abhī  to  sirf  pighlāyā  gayā  huuñ
maiñ  is  hairat-sarā-e-āb-o-gil  meñ
ba-hukm-e-ḳhās  bhejvāyā  gayā  huuñ