ahrman  hai  na  ḳhudā  hai  mirā  dil
hujra-e-haft-balā  hai  mirā  dil
mahbat-e-rūh-e-azal  merā  dimāġh
aur  āseb-zada  hai  mirā  dil
sar  jhukā  kar  mire  siine  se  suno
kitnī  sadiyoñ  kī  sadā  hai  mirā  dil
ajnabī-zād  huuñ  is  shahr  meñ  maiñ
ajnabī  mujh  se  sivā  hai  mirā  dil
aao  qasd-e-safar-e-najd  kareñ
raah  hai  rāh-numā  hai  mirā  dil
chand  benām-o-nishāñ  qabroñ  kā
maiñ  azā-dār  huuñ  yā  hai  mirā  dil
na  taqāzā  hai  kisī  se  na  talab
mudda.ā  hai  na  duā  hai  mirā  dil
raakh  ban  ban  ke  uḌī  hai  mirī  ruuh
ḳhuun  ho  ho  ke  bahā  hai  mirā  dil
pahle  maiñ  dil  pe  ḳhafā  hotā  thā
aur  ab  mujh  se  ḳhafā  hai  mirā  dal