'ra.īs'  ham  jo  sū-e-kūcha-e-habīb  chale
hamāre  saath  hazāroñ  balā-nasīb  chale
rafāqatoñ  kī  sa.ādat  liye  rafīq  aa.e
raqābatoñ  kī  nahūsat  liye  raqīb  chale
jo  qāfile  ki  hamārī  talab  meñ  nikle  the
kabhī  ba.iid  se  guzre  kabhī  qarīb  chale
aqab  meñ  hādisa-e-sub.h-o-shām  ke  ifrīt
jilau  meñ  gardish-e-ayyām  ke  naqīb  chale
jahāñ  ko  jin  ke  nasībe  pe  rashk  aatā  thā
nikal  ke  apne  gharoñ  se  vo  bad-nasīb  chale
ye  chal-chalāv  ajīb-o-ġharīb  thā  ai  dost
ġharīb  log  sū-e-ālam-e-ajīb  chale