Imdad Ali Bahr

KHurshid firaq mein tapan hai

Imdad Ali Bahr

1810-1878
ḳhurshīd firāq meñ tapāñ hai
ai zarra-navāz tū kahāñ hai
kyuuñ rote haiñ dekh dekh kar ham
ye zulf-e-siyah hai yā dhuāñ hai
muñh dekh rahā huuñ aur chup huuñ
kyā baat karūñ vo bad-zabāñ hai
ab minnat-e-bāġhbāñ abas hai
patjhaḌ ke din aa ga.e ḳhizāñ hai
gulzār nahīñ maqām-e-ishrat
bulbul pe jafā-e-bāġhbāñ hai
gul ko bhī hī kuchh ġham-e-nihāñ ne
ġhunche kī chaTak nahīñ fuġhāñ hai
gardūñ ne hī sab ko maar rakkhā
jo zinda bhī hai vo nīm-jāñ hai
ye kāhkashāñ nahīñ saroñ par
khīñche hue teġh āsmāñ hai
kyā qais se multafit ho lailā
nañgā hai vo nañg-e-ḳhāndāñ hai
parvāne se sham.a kyā chhupegī
maiñ bhī pūchhūñgā tū jahāñ hai
dekhā ai 'bahr' terā dīvān
ik daftar-e-hāl-e-āshiqāñ hai
Top Urdushayar.com