ai  dil  sharīk-e-tā.ifa-e-vajd-o-hāl  ho
pyāre  ye  aib  hai  to  ba-hadd-e-kamāl  ho
'shiblī'-o-'bāyazīd'-o-'gurūnanak'-o-'kabīr'
hañgāma-e-jalāl  meñ  raqs-e-jamāl  ho
sab  kī  zabāñ  pe  mast-kalandar  ho  dam-ba-dam
phir  us  ke  ba.ad  raat  meñ  DaT  kar  dhamāl  ho
phir  ham-safar  kareñ  taraf-e-lā-jehat
ne  sharq-o-ġharb  ho  na  junūb-o-shumāl  ho
āsāñ  rujū-e-shams  hai  lekin  tire  malañg
pahuñcheñ  vahāñ  jahāñ  se  palaTnā  muhāl  ho
ik  kā.enāt-e-ḳhvāb  ba-sad  mumkināt-e-ḳhvāb
nairañgī-e-ḳhayāl  ba-husn-e-ḳhayāl  ho
sarshār-o-sarbuland-o-siyah-mast-o-sarfarosh
māhaul  apne  haal  meñ  gum  ho  vo  haal  ho
giitā  kā  tazkira  ho  to  gautam  se  guftugū
aur  ved  kī  zabāñ  meñ  javāb-o-savāl  ho
ai  ḳhizr-e-vaqt  majlis-e-aqtāb-e-vaqt  meñ
zikr-e-mo.āmla  ho  na  fikr-e-ma.āl  ho
ham  yuuñ  ravāñ  hoñ  rāh-e-abad  meñ  ki  sadd-e-rāh
mustaqil-e-vajūd  na  māzī-o-hāl  ho
kyā  kyā  tasavvurāt  haiñ  kyā  kyā  taḳhaiyyulāt
aisā  na  ho  ki  ye  bhī  tilism-e-ḳhayāl  ho
sab  kuchh  hai  gar  tilism-e-ḳhayāl-o-fusūñ  to  phir
ai  dil  sharīk-e-tā.ifa-e-vajd-o-hāl  ho