muqarrebīn  meñ  ramz-āshnā  kahāñ  nikle
jo  ajnabī  the  vahī  apne  rāz-dāñ  nikle
haram  se  bhaag  ke  pahuñche  jo  dair-e-rāhib  meñ
to  ahl-e-dair  hamāre  mizāj-dāñ  nikle
bahut  qarīb  se  dekhā  jo  fauj-e-a.adā  ko
to  har  qatār  meñ  yārān-e-mehrbāñ  nikle
qalandaroñ  se  milā  muzhda-e-subuk-rūhī
jo  bazm-e-hosh  se  nikle  to  sar-garāñ  nikle
qabīla-e-haram  o  qaum-e-dair  o  firqa-e-riñd
hamāre  chāhne  vaale  kahāñ  kahāñ  nikle?
sukūt-e-shab  ne  sikhāyā  hameñ  salīqa-e-nutq
jo  zākirān-e-sahar  the  vo  be-zabāñ  nikle
miyān-e-rāh  khaḌe  haiñ  is  intizār  meñ  ham
ki  gard-e-rāh  haTe  aur  kārvāñ  nikle
gumāñ  ye  thā  ki  pas-e-koh  bastiyāñ  hoñgī
vahāñ  ga.e  to  mazārāt-e-be-nishāñ  nikle
gire  zamīñ  pe  jo  haft  āsmāñ  se  Takrā  ke
to  har  qadam  pe  yahāñ  aur  haft-ḳhvāñ  nikle
ufuq  se  apne  to  dhundlā  sā  ik  ġhubār  uThā
phir  is  ke  ba.ad  sitāroñ  ke  kārvāñ  nikle
kabhī  kabhī  to  har  ik  saañs  par  huā  mahsūs
ki  jaise  qālib-e-ātish-zada  se  jaañ  nikle
samajh  rahā  thā  zamāna  jinheñ  nufūs-e-jamāl
vo  sirf  chand  nafas-hā-e-ḳhūñ-chakāñ  nikle
kamāl-e-shauq  se  chheḌā  thā  jin  ko  mutrib  ne
vo  raag  saaz  ke  siine  se  nauha-ḳhvāñ  nikle
'ra.īs'  hujra-e-tārīk-jāñ  ko  khol  to  duuñ?
jo  koī  āfat-e-qattāla-e-jahāñ  nikle