maanā  ki  tū  savār  hai  aur  maiñ  piyāda  huuñ
mujh  se  hazar  na  kar  ki  shanāsā-e-jāda  huuñ
bātin  meñ  saḳht  kāfir-o-pur-pech  o  tah-ba-tah
zāhir  meñ  ek  ham-safar-e-sahal-o-sāda  huuñ
ik  shahr-e-zar-nigār  hai  aqlīm-e-sharq  meñ
us  shahr-e-zar-nigār  kā  maiñ  shāhzāda  huuñ
vā  haiñ  darīcha-hā-e-ḳhirad  merī  ruuh  par
kis  ne  kahā  ḳharāb-e-ḳharābāt-o-bāda  huuñ
ai  ḳhizr!  qutb-e-vaqt  kī  tā-chand  justujū
merā  murīd  ho  ki  qavī-ul-irāda  hoñ
maiñ  ham-rah-e-shamīm  na  uḌtā  sabā  ke  sāth?
uftād  to  yahī  hai  ki  barg-e-fatāda  huuñ
tīr-afganoñ  kī  saf  hai  udhar  aur  maiñ  idhar
sīna-sipar  'ra.īs'  ba-qalb-e-kushāda  huuñ