'ra.īs'  ashkoñ  se  dāman  ko  bhigo  lete  to  achchhā  thā
huzūr-e-dost  kuchh  gustāḳh  ho  lete  to  achchhā  thā
judā.ī  meñ  ye  shart-e-zabt-e-ġham  to  maar  Dālegī
ham  un  ke  sāmne  kuchh  der  ro  lete  to  achchhā  thā
bahāroñ  se  nahīñ  jin  ko  tavaqqo.a  lāla-o-gul  kī
vo  apne  vāste  kāñTe  hī  bo  lete  to  achchhā  thā
abhī  to  nisf  shab  hai  intizār-e-sub.h-e-nau  kaisā
dil-e-bedār  ham  kuchh  der  so  lete  to  achchhā  thā
qalam-rau  dād-e-ḳhūn-o-ashk  likhne  se  jhijaktā  hai
qalam  ko  ashk-o-ḳhūñ  hī  meñ  Dubo  lete  to  achchhā  thā
faqat  ik  girya-e-shabnam  kifāyat  kar  nahīñ  saktā
chaman  vaale  kabhī  jī-bhar  ke  ro  lete  to  achchhā  thā
surāġh-e-kārvāñ  tak  kho  gayā  ab  sochte  ye  haiñ
ki  gard-e-kārvāñ  ke  saath  ho  lete  to  achchhā  thā