maiñ  jo  tanhā  rah-e-talab  meñ  chalā
merā  saaya  mire  aqab  meñ  chalā
sub.h  ke  qāfiloñ  se  nibh  na  sakī
maiñ  akelā  savād-e-shab  meñ  chalā
jab  ghane  jañgaloñ  kī  saf  aa.ī
ek  taarā  mire  aqab  meñ  chalā
aage  aage  koī  bagūlā  sā
ālam-e-mastī-o-tarab  meñ  chalā
maiñ  kabhī  hairat-e-talab  meñ  rukā
aur  kabhī  shiddat-e-ġhazab  meñ  chalā
nahīñ  khultā  ki  kaun  shaḳhs  huuñ  maiñ
aur  kis  shaḳhs  kī  talab  meñ  chalā
ek  anjān  zaat  kī  jānib
al-ġharaz  maiñ  baḌe  taab  meñ  chalā