zamīñ  par  raushnī  hī  raushnī  hai
ḳhalā  meñ  ik  kiran  gum  ho  ga.ī  hai
maiñ  tanhā  jā  rahā  huuñ  sū-e-manzil
ye  parchhā.īñ  kahāñ  se  aa  rahī  hai
ye  shaam  aur  raushnī  kī  ye  qatāreñ
udāsī  aur  gahrī  ho  ga.ī  hai
urūj-e-māh  hai  aur  maqbaroñ  par
abad  kī  chāñdnī  chaTkī  huī  hai
ubhār  ai  mauj-e-tūfāñ-ḳhez  mujh  ko
ye  kashtī  ret  meñ  Duubī  huī  hai
havā  se  hai  kalī  jumbāñ  sar-e-shāḳh
ye  kin  hāthoñ  meñ  neze  kī  anī  hai
girā  hai  shāḳh-e-gul  se  ek  pata
kisī  ne  kyā  mujhe  āvāz  dī  hai