shikva  karne  se  koī  shaḳhs  ḳhafā  hotā  hai
aur  shikva  nahīñ  kartā  to  gila  hotā  hai
hashr  jis  se  dil-e-mutrib  meñ  bapā  hotā  hai
sirf  ik  naġhma-e-be-saut-o-sadā  hotā  hai
niiñd  aatī  nahīñ  jis  raat  tujhe  ai  dil-e-zār
shāyad  us  raat  koī  jaag  rahā  hotā  hai
yuuñ  hai  vahshat-kada-e-dil  meñ  tirī  yaad  ai  dost
jaise  sahrā  meñ  koī  phuul  khilā  hotā  hai
rūh-e-shā.ir  se  ubhartā  hai  surūd-e-abadī
ain  us  vaqt  ki  dil  Duub  rahā  hotā  hai
dekh  to  kaun  ḳhud-ārā  hai  pas-e-parda-e-rañg
tukma-e-gul  to  faqat  band-e-qabā  hotā  hai
aur  baḌh  jaatī  hai  kuchh  lafz-o-bayāñ  kī  tāsīr
lafz  jab  ashk  kī  sūrat  meñ  adā  hotā  hai
gāmzan  ruuh  huī  vādī-e-ḳhāmoshāñ  meñ
ḳhatm  āḳhir  safar-e-koh-e-nidā  hotā  hai