siyāh  hai  dil-e-gītī  siyāh-tar  ho  jaa.e
ḳhudā  kare  ki  har  ik  shaam  be-sahar  ho  jaa.e
kuchh  is  adā  se  chale  bād-e-barg-rez  ḳhizāñ
ki  duur  tak  saf-e-ashjār  be-samar  ho  jaa.e
bajā.e  rañg  rag-e-ġhuncha  se  lahū  Tapke
khile  jo  phuul  to  har  barg-e-gul  sharar  ho  jaa.e
paḌe  jo  haath  chaman  meñ  ba-qasd-e-gul-chīnī
misāl-e-panja-e-qassāb  ḳhuuñ  meñ  tar  ho  jaa.e
faroġh-e-mahr  se  ho  iḳhtilāj-e-qalb-e-fuzūñ
bahāna-e-ḳhafaqāñ  jalva-e-qamar  ho  jaa.e
zamāna  pī  to  rahā  hai  sharāb  dānish  ko
ajab  nahīñ  ki  yahī  zahr  kārgar  ho  jaa.e
koī  qadam  na  uThe  sū-e-manzil-e-maqsūd
duā  ye  kar  ki  har  ik  raah  pur-ḳhatar  ho  jaa.e