dayār-e-shāhid-e-bilqīs-adā  se  aayā  huuñ
maiñ  ik  faqīr  huuñ  shahr-e-sabā  se  aayā  huuñ
jahān-e-nau  kī  talab  aur  is  ḳharābe  meñ
savād-e-istaḳhr-o-nainvā  se  aayā  huuñ
shab-e-siyāh-e-ḳhizāñ  ke  sumūm-o-sar-sar  tak
nigār-ḳhāna-e-shub.h-o-sabā  se  aayā  huuñ
abhī  kahāñ  hai  mujhe  nauha-o-navā  kā  shu.ūr
ki  ek  nāhiya-e-be-navā  se  aayā  huuñ
mire  rumūz  kā  irfāñ  kise  nasīb  ki  maiñ
sarosh-e-rūh-e-azal  huuñ  samā  se  aayā  huuñ
damak  rahī  hai  zamān-o-makāñ  kī  peshānī
sitāra-e-abadī  huuñ  ḳhalā  se  aayā  huuñ
tumhāre  ġhuncha-o-gul  se  ġharaz  nahīñ  mujh  ko
idhar  ishāra-e-bād-e-sabā  se  aayā  huuñ