chuur  sadmoñ  se  ho  ba.iid  nahīñ
ābgīna  hai  dil  hadīd  nahīñ
mai-kashī  kyā  kare  bhalā  zāhid
maġhfirat  kī  use  umiid  nahīñ
chār-sū  hai  añdherā  āñkhoñ  meñ
chaar  din  se  jo  us  kī  diid  nahīñ
mere  aage  milī  vo  ġhairoñ  se
hai  moharram  mujhe  ye  iid  nahīñ
qatl  aalam  hai  tere  abrū  par
koī  talvār  se  shahīd  nahīñ
apne  dil  se  mujhe  irādat  hai
maiñ  kisī  piir  kā  murīd  nahīñ
dil  kisī  se  lage  to  kyā  chhūTe
koī  is  qufl  kī  kalīd  nahīñ
dekh  le  mar  ke  saḳhtī-e-sakrāt
sadma-e-hijr  se  shadīd  nahīñ
vasl-e-jānāñ  hai  seġha-e-tohmat
ki  mujarrad  haiñ  ham  mazīd  nahīñ
ishq  kyā  dard  hai  ḳhudāvandā
koī  dārū-davā  mufīd  nahīñ
nahno-aqrab  dalīl  hai  ai  'bahr'
yaar  nazdīk  hai  ba.iid  nahīñ