Rais Amrohvi

ye karbala hai nazr-e-bala hum hue ki tum

Rais Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1914-1988
ye karbalā hai nazr-e-balā ham hue ki tum
nāmūs-e-qāfila pe fidā ham hue ki tum
kyuuñ dajla-o-furāt ke da.ave ki nahr par
tishna-dahan shahīd-e-jafā ham hue ki tum
maanā ki sab ajal ke muqābil the sar-ba-kaf
lekin shikār-e-tīr-e-qazā ham hue ki tum
tum bhī fareb-ḳhurda sahī par ba-sad-ḳhulūs
maqtūl-e-makr-o-said-e-daġhā ham hue ki tum
tum shāḳh-e-gul se uḌ ke ga.e shāḳh-e-gul kī samt
apne nashemanoñ se judā ham hue ki tum
ustād sabr-o-nukta-shanās-e-razā the tum
lekin katīl-e-sabr-o-razā ham hue ki tum
sau baar rāste meñ luTā hai jo kārvāñ
us kārvāñ ke rāh-numā ham hue ki tum
paikān-e-neza-o-rasan-o-dār hai gavāh
sar de ke sar-buland-e-vafā ham hue ki tum
paimān-e-shauq kis ne nibāhā qadam qadam
aur haqq-e-āshiqī se adā ham hue ki tum
tum bhī nisār-e-dost the ham bhī nisār-e-dost
ḳhud faisla karo ki fidā ham hue ki tum
tum bhī julūs-e-mausam-e-gul meñ the pesh pesh
āvāra misl-e-bād-e-sabā ham hue ki tum
tum laakh ham-safar the par insāf to karo
yaaro halāk-e-laġhzish-e-pā ham hue ki tum
Top Urdushayar.com