ye  karbalā  hai  nazr-e-balā  ham  hue  ki  tum
nāmūs-e-qāfila  pe  fidā  ham  hue  ki  tum
kyuuñ  dajla-o-furāt  ke  da.ave  ki  nahr  par
tishna-dahan  shahīd-e-jafā  ham  hue  ki  tum
maanā  ki  sab  ajal  ke  muqābil  the  sar-ba-kaf
lekin  shikār-e-tīr-e-qazā  ham  hue  ki  tum
tum  bhī  fareb-ḳhurda  sahī  par  ba-sad-ḳhulūs
maqtūl-e-makr-o-said-e-daġhā  ham  hue  ki  tum
tum  shāḳh-e-gul  se  uḌ  ke  ga.e  shāḳh-e-gul  kī  samt
apne  nashemanoñ  se  judā  ham  hue  ki  tum
ustād  sabr-o-nukta-shanās-e-razā  the  tum
lekin  katīl-e-sabr-o-razā  ham  hue  ki  tum
sau  baar  rāste  meñ  luTā  hai  jo  kārvāñ
us  kārvāñ  ke  rāh-numā  ham  hue  ki  tum
paikān-e-neza-o-rasan-o-dār  hai  gavāh
sar  de  ke  sar-buland-e-vafā  ham  hue  ki  tum
paimān-e-shauq  kis  ne  nibāhā  qadam  qadam
aur  haqq-e-āshiqī  se  adā  ham  hue  ki  tum
tum  bhī  nisār-e-dost  the  ham  bhī  nisār-e-dost
ḳhud  faisla  karo  ki  fidā  ham  hue  ki  tum
tum  bhī  julūs-e-mausam-e-gul  meñ  the  pesh  pesh
āvāra  misl-e-bād-e-sabā  ham  hue  ki  tum
tum  laakh  ham-safar  the  par  insāf  to  karo
yaaro  halāk-e-laġhzish-e-pā  ham  hue  ki  tum