dil  se  yā  gulsitāñ  se  aatī  hai
terī  ḳhushbū  kahāñ  se  aatī  hai
kitnī  maġhrūr  hai  nasīm-e-sahar
shāyad  us  āstāñ  se  aatī  hai
ḳhud  vahī  mīr-e-kārvāñ  to  nahīñ
bū-e-ḳhush  kārvāñ  se  aatī  hai
un  ke  qāsid  kā  muntazir  huuñ  maiñ
ai  ajal!  tū  kahāñ  se  aatī  hai
shikva  kaisā  ki  har  balā  ai  dost!
jāntā  huuñ  jahāñ  se  aatī  hai
ho  chukīñ  āzmā.isheñ  itnī
sharm  ab  imtihāñ  se  aatī  hai
ain  dīvāngī  meñ  yaad  āyā!
aql  ishq-e-butāñ  se  aatī  hai
terī  āvāz  gaah  gaah  ai  dost!
parda-e-sāz-e-jāñ  se  aatī  hai
dil  se  mat  sarsarī  guzar  ki  'ra.īs'
ye  zamīñ  āsmāñ  se  aatī  hai