shamīm-e-gesū-e-mushkīn-e-yār  laa.ī  hai
sabā  uḌā  ke  payām-e-bahār  laa.ī  hai
kisī  urūs-e-shabistān-e-alf-lailā  kā
churā  ke  ik  nafas-e-mushk-bār  laa.ī  hai
jo  rahravān-e-tarīq-e-talab  haiñ  un  ke  liye
ġhubār-e-manzil-e-shahr-e-nigār  laa.ī  hai
kaho  ki  dīda-o-dil  ke  liye  nasīm-e-sahar
payām-e-ġhamza-e-ālam-shikār  laa.ī  hai
kaho  ki  ḳhirman-e-jāñ  ke  liye  shamīm-e-bahār
salām-e-sho.ala-o-barq-o-sharār  laa.ī  hai
jo  zā.irīn-e-harīm-e-vafā  haiñ  un  ke  liye
naved-e-rahmat-e-parvardigār  laa.ī  hai
vatan  kī  yaad  kisī  be-dayār  kī  ḳhātir
vatan  se  muzda-e-ahl-e-dayār  laa.ī  hai