safar  meñ  koī  rukāvaT  nahīñ  gadā  ke  liye
khulā  huā  hai  har  ik  rāsta  havā  ke  liye
ye  pūchhtī  hai  har  ik  sub.h  aa  ke  mauj-e-nasīm
koī  payām  kisī  yār-e-āshnā  ke  liye
tavāf-e-dair-o-haram  se  to  ho  chuke  fāriġh
chalo  ziyārat-e-yārān-e-bā-safā  ke  liye
maiñ  kyuuñ  na  bā-sar-e-uryāñ  phirūñ  tah-e-aflāk
ki  faḳhr  hai  sar-e-uryāñ  barahna-pā  ke  liye
ye  shahr  shahr-e-baḳhīlāñ  hai  ai  dil-e-bīmār
yahāñ  to  zahr  bhī  miltā  nahīñ  davā  ke  liye
shikār  DhūñDh  ke  laa.ī  kahāñ  kahāñ  kahāñ  se  hayāt
darinda-e-ajal-o-azdar-e-qazā  ke  liye
ajiib  baat  ki  manzil  kā  jab  bhī  qasd  huā
bajā.e  paañv  ke  haath  uTh  ga.e  duā  ke  liye
sitam-zarīf  zamāne  ne  chun  liyā  ham  ko
girānī-e-nafs-o-garmī-e-navā  ke  liye
sivā.e  kashtī-e-lañgar  gusistā  kyā  hogī
ġharīq-e-bahr  kī  sauġhāt  nā-ḳhudā  ke  liye
hamīñ  meñ  kyuuñ  hadaf-e-tanz  ai  jamāl-e-bahār
sabhī  ne  phuul  chune  the  tirī  qabā  ke  liye
na  zād-e-rāh  na  rahbar  na  mezbāñ  na  sarā.e
ham  aise  bādiya-gardān-e-be-navā  ke  liye
jahāñ  jahāñ  bhī  hue  par-kushā  ham  ahl-e-zamīñ
zamīñ  ke  bojh  hī  sābit  hue  ḳhalā  ke  liye