ġhurūb-e-mehr  kā  mātam  hai  gulistānoñ  meñ
nasīm-e-sub.h  bhī  shāmil  hai  nauha-ḳhvānoñ  meñ
jahāñ  the  raqs-e-tarab  meñ  kabhī  dar-o-dīvār
balā.eñ  naach  rahī  haiñ  ab  un  makānoñ  meñ
añdherī  raat  bhayānak  khañDar  muhīb  fazā
bhaTak  rahā  huuñ  ajal  ke  siyāh-ḳhānoñ  meñ
ye  aamad  āmad-e-tūfān-e-shab  ḳhudā  kī  panāh
tuyūr-e-shām  simaT  jaa.eñ  āshiyānoñ  meñ
ye  saa.eñ  saa.eñ  kī  āvāz  hai  ki  maut  kī  huuk
jo  gūñjtī  hai  shayātīn  ke  tarānoñ  meñ
nadīm-e-shab  koī  afsāna-e-fusūn-o-tilism
ki  zindagī  kī  jhalak  hai  inhīñ  fasānoñ  meñ
nahīñ  hai  shahr-e-vafā  kī  tabāhiyoñ  kā  gilā
magar  vo  log  jo  rahte  the  in  makānoñ  meñ
ajiib  thiiñ  ye  ġharīboñ  kī  bastiyāñ  lekin
ġharīb  rah  na  sake  in  ġharīb-ḳhānoñ  meñ
hamārī  gard-e-safar  bhī  na  ab  mile  shāyad
'ra.īs'  ahl-e-tamannā  ke  kārvānoñ  meñ