rāz-e-giraftagī  na  asīr-e-lahn  se  pūchh
ye  baat  apnī  zulf-e-shikan-dar-shikan  se  pūchh
āvārgī  ke  lutf  na  sarv-o-saman  se  pūchh
vahshat  meñ  kyā  mazā  hai  havā-e-chaman  se  pūchh
mardān-e-haq  kā  azm  shahīdān-e-haq  kā  jurm
dil-dādgān-e-sheva-e-dār-o-rasan  se  pūchh
kyā  shām-e-ġham  meñ  dīda-o-dil  par  guzar  ga.ī
un  taaza  vārdān-e-bisāt-e-kuhan  se  pūchh
lazzat-kashān-e-sāġhar-e-ishrat  ko  kyā  ḳhabar
ranj-e-ḳhumār  talḳhī-e-kām-o-dahan  se  pūchh
sahn-e-chaman  meñ  lāla-o-gul  par  tire  baġhair
kyā  kyā  guzar  rahī  hai  bahār-e-chaman  se  pūchh
āġhāz-e-irtibāt-o-ta.alluq  ke  vāqi.āt
kuchh  apne  hosh  kuchh  mire  dīvāna-pan  se  pūchh
ai  fasl-e-gul  mizāj  jarāhat-rasīdgāñ
gar  ho  sake  to  lāla-e-ḳhūnīñ  kafan  se  pūchh
jo  terī  mashq-e-nāz  se  pāmāl  ho  gayā
apnā  mizāj-e-nāz  usī  ḳhasta-tan  se  pūchh
afsāna-e-bahār  asīr-e-qafas  se  sun
yād-e-vatan  kā  lutf  kisī  be-vatan  se  pūchh
ai  dost  ham  se  kufr-e-mohabbat  kā  dars  le
asrār-e-kāfirī  na  but-e-barahman  se  pūchh
ham  bhī  kabhī  the  anjuman-ārā-e-ārzū
us  jān-e-bazm-o-zeb-dah-e-anjuman  se  pūchh
ham  bhī  kabhī  the  yūsuf-e-kan.ān-e-rañg-o-bū
pīr-e-za.īf-o-pīr  zan-o-pairhan  se  pūchh